Utter pardesh Rajaya ke bijnor district main noorpur – seohara road per etihasik nagar Raja ka tajpur yaha stith girjaghar ke liye Jana jata hai, Raja ka tajpur church seohara se 10 km. Our noorpur se 9 km. Our tajpur nagar se 1km no duri per hai.
sekred haart charch aitihaasik charch hai. isaka nirmaan raaja phraansis jeviyar rikh ne 1913 mein karaaya tha. vah raaja ka taajapur ke pratishthit parivaar se sambandh rakhate the. unhonne aur unake bhaee noravart rikh ne kaitholik dharm sveekaar kar liya tha. charch ke nirmaan mein noravart rikh ka bhee mahatvapoorn yogadaan raha. raaja phraansis jeviyar rikh ka nidhan 1942 mein bengaloor mein hua. 25 December ko yaha mela bhi lagta hai jisme bhari sankhya main log aate hai
Raja ka tajpur Church ki banawat bhut sunder hai. Charo our se aam ke bagh se ghiri church ke aaspass mosam bhi suhana hota hai. Church parsasab dawara church ko achchi taraha se banaya rakha jata hai.
Garmiyon main yaha ke saant vatavaran main ek achcha samaya gujara ja sakta hai. Aam ki fasal ke doran yaha paido per aam ko lage huye dekha ja sakta hai. Our bagh ke rakhwalo se khareed kar unka swad bhi liya ja sakta hai.
District bijnor main yeh ek perasid paryatan sthal hai jiska paryatakon ko pata na hone ke karan yeh etihasik sthal pichardta ja raha hai.
Alvitrips, blog admin se vinti karta hu ke meri post ko apne platform per jaroor samil kare. Jisse paryatakon ko iske baar main jankari mile. Our hamare shastra main paryatan ka vikaas ho “Dhanyawad”